| Bill par | Screen par | Is bill mein |
|---|---|---|
| Distributor ka naam | Supplier Alt+1 | Mass Pharma (Pvt) Ltd. |
| Invoice # | Supplier's bill no. Alt+B | 0253851 |
| Invoice Date | Bill date | 24/09/2026 |
| Item Name | Product | Amodip 10mg Tab 3x10s |
| Batch No. | Batch | AH061 |
| Expiry Date | Expiry, mahina/saal | 01/05/2029 → 05/29 |
| Qty · Bonus | Qty (packs) · Bonus (muft) | 1 · khali |
| Rate | TP | 654.21 |
| Disc % | Disc % | 0.00: khali |
| Sale Tax + Add Tax | Sales tax, dono jor kar | 321.30+71.40 (PAT-4) |
| AW Tax (236H) | Line par nahi: neeche khud lagta hai | 43.18 |
| Net Total | Total on the bill Alt+T | 8,681.00 |
Distributor ka purchase bill kaise enter karein
Distributor se maal aaye to us ka bill Purchase entry mein likhein. Isi se stock barhta hai, har dawai ka batch aur expiry yaad rehta hai, aur supplier ka hisaab (khata) banta hai. Misal ke liye neeche Mass Pharma ka ek asal bill (Invoice # 0253851, 9 dawaiyan, Net Total 8,681.00) poora enter kiya gaya hai.
Mukhtasar jawab: bill ka har hissa kahan jata hai
Supplier, bill no. aur tareekh
Purchase entry kholein
App mein kahin se bhi F6, ya menu mein Purchases ke saath wala naye bill ka nishan. Screen ka naam Purchase entry hai.
- 1Supplier Alt+1: distributor.
- 2Supplier's bill no. Alt+B: bill par likha Invoice #, misal 0253851.
- 3Bill date aur Due date: bill ki tareekh, aur paise kab tak dene hain.
- 4Credit Alt+8: udhaar, supplier ke khate mein (aam taur par yehi). Cash Alt+7: paise abhi diye.
- 5Save Alt+S: aakhir mein.
Purchase entry computer ke keyboard ke liye hai. Phone par upar Standard form istemal karein.
Supplier chunein, ya naya banayein
Alt+1 dabayein aur distributor ka naam likhein. List mein ho to chunein. Pehli dafa ho to Add “naam” as a supplier chunein: naam likhein, mobile zaroori nahi, aur Save and select.
- 1Name: bill par jaisa likha hai, misal Mass Pharma (Pvt) Ltd.
- 2Save and select: supplier ban kar isi bill par aa jata hai.
Bill no. aur tareekh
- Alt+B dabayein aur bill ka number likhein. Ek hi supplier ka ek hi number dobara likha jaye to screen pehle bata deti hai.
- Bill date mein bill ki tareekh (misal 24/09/2026), aaj ki nahi.
- Bill udhaar par hai to Credit rehne dein. Paise abhi diye to Alt+7 se Cash.
Bill ki lines
Pehli line
Neeche Product name… mein dawai ka naam likhein, list mein se chunein aur Enter. Phir har box ke baad Enter: Qty → Bonus → Batch → Expiry → TP → Disc % → Disc2 % → Sales tax, aur aap agli dawai par aa jate hain.
- 1Qty: 1 pack. Qty hamesha pack mein: 10 = 10 pack, 2s = 2 strip, 5t = 5 goliyan.
- 2Batch: AH061, bill ke Batch No. se.
- 3Expiry: bill par 01/05/2029, yahan mahina/saal 05/29.
- 4TP: bill ka Rate, ek pack ka, 654.21.
- Bonus: jo muft mila. Khali ho to khali chhor dein.
- Koi aur dawai muft mili? Us ki line banayein, Qty 0 aur Bonus mein muft wali qty.
- Dawai aap ke products mein nahi? Alt+N: DRAP medicine list se chunein ya wahin naya product banayein, seedha bill par aata hai.
Line ko bill se milayein
Pehli line ke baad hi neeche Payable dekhein: 657.48. Yehi bill par Amodip ki Net Amount hai (654.21 + 0.5% advance tax 3.27). Line mil gayi to agli line.
Sales tax wali line
Is bill mein sirf PAT-4 par sales tax hai: Sale Tax 321.30 aur Add Tax 71.40. Sales tax box mein dono jor kar likhein: 321.30+71.40. Sirf % pata ho to 18% bhi likh sakte hain.
- 1PAT-4 ka Sales tax: 321.30+71.40. Baqi lines par 0, kyun ke bill par wahan sales tax nahi.
AW Tax (236H) line par nahi Bill ka AW Tax kalam (3.27, 0.91...) advance income tax hai. Use kisi line ke Sales tax mein na likhein: poore bill par neeche khud lagta hai (qadam 8).
Neeche dawai ki maloomat
Jis line par aap hain, neeche us dawai ka stock, sale price, is bill par cost aur margin, aur pichli khareedariyan nazar aati hain.
- 1Sale price aur is bill ki cost: margin 15.02%. Cost se kam sale price ho to Alt+U se sale price wahin badal dein.
- 2Pichli khareedariyan: kis supplier se, kitni, kis TP par. TP pichli dafa se barh gaya ho to yahin bataya jata hai.
Bill ke total se milayein aur save karein
Total milayein
Saari lines ke baad Alt+T dabayein aur bill ka Net Total likhein: 8681. Neeche ✓ Matches the bill aa jaye to bill theek hai.
- 1Sales tax: 321.30 + 71.40 = 392.70, lines se khud.
- 2Advance tax 236H: 0.5% khud lagta hai, 43.19. Bill par 43.18 hai: paisa ka farq line-wise rounding se. Bilkul wohi chahiye to Alt+A se likh dein.
- 3Round-off: bill ke total se paison ka farq, khud 0.35.
- 4Total on the bill Alt+T: 8681, aur ✓ Matches the bill.
Total nahi mila? Neeche Off the bill by… likha aaye to lines dobara dekhein: aam taur par koi Qty, TP ya Sales tax ghalat hota hai. Ek Rupay se kam ka farq Round-off khud le leta hai.
Save karein
Alt+S (ya F9, ya Ctrl+Enter). Upar pegham aata hai aur screen agle bill ke liye khali ho jati hai.
- Stock barh jata hai, har dawai apne batch aur expiry ke saath.
- Credit bill supplier ke khate mein chala jata hai: Parties mein supplier kholein.
- Bill adhoora chhor kar chale gaye? Isi computer par Purchase entry dobara kholne par bill wapas aa jata hai.
Saved bill dekhein
Purchases mein bill sab se upar nazar aata hai. Kholne ke liye voucher number par click.
- 1PI-108: 24-09-2026, Mass Pharma (Pvt) Ltd., 8,681.00.
Chhoti baatein
- Enter se save nahiLines mein Enter dabate jayein, bill save nahi hota. Sirf Alt+S, F9 ya Ctrl+Enter.
- Faltu kalam chhupayeinJo kalam aap ke supplier ke bill mein nahi (misal Disc2 %), upar Columns se chhupa dein. Har supplier ke liye yaad rehta hai.
- Expiry ki warningExpire ho chuki ya jald expire hone wali dawai par line par pegham aata hai. Bill phir bhi save hota hai.
- Ghalti ho gayiSaved bill kholein aur Amend: wohi bill isi screen par khulta hai, theek karke dobara save.
- Bill ki photo seMunshi on ho to bill ki photo bhejein: Munshi lines khud bhar deta hai aur bill yahan Bills read by Munshi mein check karne ke liye aata hai.
Keys alag hain? Owner dukaan ki keys badal sakta hai: in screenshots mein Clear Alt+E par hai. F1 dabayein, aap ki dukaan ki saari keys wahan likhi hain.
Screenshots test business "Chenab" ke hain, Mass Pharma ke asal bill se. Qeematein sirf misal hain.
